Dosto roza rakhne se kya insaan kamjor wa bimar ho jata hai aise bahut tarah ke logo mei aaj aam hai……isiliye aaj mai aap sabhi ke liye roza rakhne ke taaluk se sciencetific tarike se kuch aisi baatein batane wala hu jisse jaanne ke baad apko ye baat ek dum saaf hojayengi ki iske fayde hai ya nuksaan roza rakhne se insaan sehatmand hojata hai ya kamzor hojaata hai……jinlogo ke dimaag mei roza rakhne ke taaluk se galat faimiya hai yaa jo log ramzaan mei roza nhi rakhte mai khaastaur pe unlogo ko kahuga ki ye post ko suru se aakhri tak pura padhe aur mujhe yakin hai ye post padhne ke baad 100% aapki soch badal jaayegi or hosakta hai aap isi saal se raamzaan ke pure roze bhi rakhle
Roza Rakhne Ke Fayde
- Roza rakhne se kayi tarah ki bimariyaa dur hojati hain roza rakhne se mrida ko araam milti hain istarah roza rakhne ke baad jism ko dusre hisso per phir se ek nayi taakat kushti haasil hoti hai aur phir araam kerne ke baad mrida bhi achi tarah se kaam kerne lagti hai
2. Roza rakhne se bimariyo ko dur kerne ka ek bahtarin kudrati ilaaz hai khana pina chhodh dena
3. Roza rakhne se yeh kaam hota hai ki garibo ka bhukh wa piyaas ka ahsaas hota hai pet bherker khana khane wale amiro ko yeh ahsaas hota hai ki jab chhand ghanto bhukh ki yeh kayfiyat hai toh jab garibo ko khana waqt per nahi milti hai toh unka aalam kya hoga isiliye roza ko farz rakha gaya hain taaki amiro ko garib logo ki bhukh piyaas ka ahsaas ho aur unka yeh khyal rakh sake
रोज़ा के फवाइद
4. Roza ralhne ke bare ma Dr.ne bahut aham bat yeh batayi hai ki khana pina chhodh dene se jism mei hazam kerne wali taakat faariz hoker puri tarah se badan ki safayi kerne mei lag jaati hain her kism ke jahrili maada ko baaher nikaal deti hain
Salam karne ki sunnatein
5. Allah taala ne insaan ko anginat rahmati se nawaza hain yaani niyamit roop se khana pina insaan ki aisi rahmatein hain jo insaan ki rozana ki jaruwatein hain allah inhi niyamatiyo ke jaariye musalmaano ko nawza hain aazmaish kerta hai jis kisi log ne allah ki tilawat haath utha ker duwa kerke roya hai aur inhi niyamito ke istemaal se allah ki bandagi allah ki mohabbat mei qurbaan kerne ka jazba rakhti hain
Click Here to Know More
6. Roza ma akak wa sariyat paida kerti hai roza sirf bhukhe piyae rahna nhi hain balke yeh insaan ki bardaash ki taakat ko bhi badhata hain ek taraf jitna insaan ke ruh ko sawab milta hai utna hi jyada insaan ke jism ko bhi fayda hota hain
Ramzan Me Roza Rakhne Ke Fayde
7. Roza rakhne ki yeh bhi fayda hai ki isse haiwaani kuwat kamm hoti hai yaani insaan gunah kerne se darta hai aur insaan gunah kerne se ruk jaata hain
8. Roza rakhne ka yeh bhi fayda hai ki aapsi mohabbat badhati hain roza rakhne wale sadasye ek saath baithker aftaar kerte hai aaur khushi kamaahol hota hai yeh ek aisa maahol hai jo sirf ramzaan sharif ke mahine mei dekhne ko milti hain is maahol mei ek apna pan dekhne ko milta hai isiliye roza mohabbat badhane ke liye ek bahtarin jariya hain
Namaz Padhne ki fazilat
9. Roza rakhne se badhazmi aur gess jaisi bimaariyo se raahat milti hai bhukhe rahne se badhazmi gess jaise bimariyo se nizaat milti hain
10. duniya ke sabhi doctor yeh maante hai ki roza rakhne se sabhi bimariya dur bhaag jaati hain aur yeh bimaariyo ko dur bhagane ka ek khaash aur bahtarin kudrati jariya hain